Friday, July 22, 2011

Zindagi par kitab likhun ga

zindagi par kitab likhun ga
us main saaray hisaab likhun ga
pyaar ko waqt guzaari likh kar
chahton ko azaab likhun ga
hoyee barbaad mohabbat kaisay
kaisay bikhray khwaab likhun ga
apni khwahish ka tazkara kar k
uss ka chehra gulaab likhun ga
main us sy judai ka sabab kyun puchun?
apni qismat kharaab likhun ga

No comments:

Post a Comment