Friday, July 22, 2011

Boht by-dard hun na main?

boht by-dard hun na main?
stata hun boht tumko?
rulata hun boht tumko?
k tumko chor kar tanha
khizaan lamhon ki banhon main
boht he door sochon main
chala jata hun main aksar?
chalo aisa karo jana
mujay koi saza day lo
k jab sonay ko mann chahay
meri palkon ka ghunghat orh kar
tum ru-baru aana
meri sanson main bas jana
zara b door yadon sy
kabi honay nahi dena
suno tum aisa karna k
MUJHAY SONAY NAHI DENA..

No comments:

Post a Comment