Friday, July 22, 2011

Bahut c Besabab Baatain

Bahut c Besabab Baatain
Faqt Tamheed Hoti Hain
Jo Aksar Tumse Keht Hun
Suno
Aur Kasi Ho
Suno
Sardi Bahut Hai Na
"Naya Mosam To Acha Hai ..?
"Chalo Acha ! Main Chalta Hun
"Dubara Phir Milne ge!
Ye Saari Besabab Batain
Faqat Tamheed Hoti Hain
Aur Ic Tamheed Main Jana
Guzzar Jaate Hain Sab
Lamhe
Guzar Jaate Hain Jab
Lamhe
To Phir Main Sochta Hun
K
Zara C Baat Hi To Hai
Tumhain Jaldi Se Keh Dun Ga !
"Mujhe Tum se Mohabbat Hai".!!

Dabi dabi c wo muskrahat

dabi dabi c wo muskrahat
labon py apnay sja sja k
wo narm lehjay mai baat krna
ada sy nazren jhuka jhuka k
wo ankh teri shararti c
wo zulf mathay py nachti c
nazar hatay na ek pal b
main thak gya hun hta hta k
wo tera hathon ki ungliyon ko
mila k zulfon main kho sa jana
haya ko chehray py phir sjana
phool chehra khila khila k
wo hath huron k ghar hon jesay
wo paon pariyon k par hon jesay
nahi hai teri misaal jana
main thak gya hun btaa btaa k..

ZAABTAY NAHI CHALTAY

ishq k ilaqay main
hukm-e-yaar chalta hai
zaabtay nahi chaltay
husn ki adalat main aajzi to chalti hai
martabay nahi chaltay
dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
silsilay taaluq k khud sy ban to jatay hain
lakin in shagoofon ko
tootnay bikharnay sy
rokna b parta hai
chahton ki matti ko
aarzu k poday ko
seenchna b prta hai
ranjishon ki baton ko
bhoolna b prta hai
kyun k
ishq k ilaqy main hukm-e-yaar chalta hai
ZAABTAY NAHI CHALTAY

Zindagi par kitab likhun ga

zindagi par kitab likhun ga
us main saaray hisaab likhun ga
pyaar ko waqt guzaari likh kar
chahton ko azaab likhun ga
hoyee barbaad mohabbat kaisay
kaisay bikhray khwaab likhun ga
apni khwahish ka tazkara kar k
uss ka chehra gulaab likhun ga
main us sy judai ka sabab kyun puchun?
apni qismat kharaab likhun ga

Mujhay fursat hi fursat hai

mujhay fursat hi fursat hai
sawairay jald uthna hai
na shab ko dair sy sona hai
kahin bahir nahi jana
kisi sy b nahi milna
na koi fikr laahaq hai
na koi yaad baaqi hai
magar ye aakhri misra
zara sa jhoot lagta hai

Boht by-dard hun na main?

boht by-dard hun na main?
stata hun boht tumko?
rulata hun boht tumko?
k tumko chor kar tanha
khizaan lamhon ki banhon main
boht he door sochon main
chala jata hun main aksar?
chalo aisa karo jana
mujay koi saza day lo
k jab sonay ko mann chahay
meri palkon ka ghunghat orh kar
tum ru-baru aana
meri sanson main bas jana
zara b door yadon sy
kabi honay nahi dena
suno tum aisa karna k
MUJHAY SONAY NAHI DENA..

Sukoon e dil ke liye kuch

Sukoon e dil ke liye kuch
to ehtimaam karoon
zara nazar to mile
phir unhe salaam karoon

Mujhe to hosh nahi
aap mashwara dijay
kahan se chedoon fasana
kahan tamaam karoon

Unhi ke zulam ka shikwa karoon zamane se
unhi ke haq main duaein main subah shaam karoon

Woh bewafa hain to ham ne Shakeel soch liya
mujhe kasam hai kisi se agar kalam karoo

Muhabbat ki tamana hai to phir woh vast peda kar

Muhabbat ki tamana hai to phir woh vast peda kar
jahan sy ishq chalta hai wahan tak naam peda kar

agr sacha hai mery ishq me to ay jan-e-jahan
nigahe ishq peda kr jamal-e- zarf peda kr

me tujh ko tujh se zida aur sb sy zida chahun ga
magr shart yeh k apny andr meri justaju to peda kr

agr na badloun teri khatir hr ik cheez to kehna
tu apny aap me pehly andaz-e- wafa to peda kr

Wednesday, July 20, 2011

aakhri Fikra

mujhay fursat hi fursat hai
sawairay jald uthna hai
na shab ko dair sy sona hai
kahin bahir nahi jana
kisi sy b nahi milna
na koi fikr laahaq hai
na koi yaad baaqi hai
magar ye aakhri misra
zara sa jhoot lagta hai

MUJHAY SONAY NAHI DENA

boht by-dard hun na main?
stata hun boht tumko?
rulata hun boht tumko?
k tumko chor kar tanha
khizaan lamhon ki banhon main
boht he door sochon main
chala jata hun main aksar?
chalo aisa karo jana
mujay koi saza day lo
k jab sonay ko mann chahay
meri palkon ka ghunghat orh kar
tum ru-baru aana
meri sanson main bas jana
zara b door yadon sy
kabi honay nahi dena
suno tum aisa karna k
MUJHAY SONAY NAHI DENA...

Wednesday, January 26, 2011

HUMARAY MUHAMMAD

ALLAH KYA JAHANAM AB B NA SARD HO GA
RO RO K MUSTAFA NAY DARYA BAHA DIYE HAIN

AANAY DO YA DIBO DO AB TO TUMRI JANIB 
KISHTO TUJHI PE CHORRI LANGAR UTHA DIYE HAIN


PUNJABI HAMMD

TERI WAND TAY MALKA JAWAN SADQAY
KARAM KARNA AYN SUCHYAN KORRYAAN TAY

EK KALIYAN RAJ K KALIYAN NAY
HUSAN  WANDNA AY KIDRAY BOORIYAN TAY

EK SONAY NAAL BHRYAAN KARAN SHIKWAY
EK KHUSH NAAY KACHIYAAN CHORRIYAN TAY

EK RAAT DE BASI KHAN TUKRAY
EK RANDIYAN NAY SADA HALWAY POORIYAN TAY

EK MAKHMAL SAIJ TAY SONDIYAN NAY
EK RENDIYAN NAY SADA PHORRIYAN TAY

HAFIZ ZINDGI DE DIN GUZAR JANAY
KISAY DE MAHAL TAY KISAY DE RORRIYAN TAY

WELCOME TO MY BLOG

SALAM,
AP KA MERI BEYAZ MAIN WELCOME HAI
YAHAN PAR MAIN APNI DAIRY SE KUCH POETRY POST KARTA HOON UMEED HAI AAP B
HUMARAY SATH ES PAGE PAR QUALITY POETRY SHARE KARAIN GE
APNAY AAP KO FOLLOWER B BANAY ES PAGE KA

SHUKARIYA
AMEER AFZAL